Roman transliteration of the Urdu of Pakistani poet Faiz Ahmed Faiz - III


Aj bAzAr me.n pA-b-jhaulA chalo
faiz ahmed faiz

chashme-nam jAn-e-shorIdA kAfi nahi.n
tauhmat-e-ishq-e-poshIdA kAfi nahi.n
Aj bAzAr me.n pA-b-jhaulA chalo

dasht afsha.N chalo mast-o-raksA chalo
khAk-bar-sar chalo, khU.N-b-dAmA.N chalo
rAh taktA hai.n sab shaher-e-jAnA chalo

hAkim-e-shahar bhI majm-e-Am bhI
tIr-e-ilzAm bhI sang-e-dushnaam bhI
subh-e-nAshAd bhI roz-e-nAkAm bhI

inkA dam-sAz apne siwA kaun hai.n?
shahar-e-jAnA me.n ab bA-safA kaun hai.n?
dasht-e-kAtil ke sAyA rahA kaun hai.n?

rakt-e-dil bA.ndh lo dil figAro.n chalo
phir hamI katl ho Aye yAro.n chalo


Original from: Faiz Ahmed Faiz, "Saare Sukhan Hamaare" (devanAgarI), pg. Rajkamal Prakashan, New Delhi, second edition, 1991.